Tuesday, May 18, 2010

Kahi se aa jao........

Ajub shaam kharhi hai kahin se aa jao
Barhi udaas gharhi hai kahin se aa jao
Kisi se milna aur mil kar bicchar jana
Saza yeh itni barhi hai kahin se aa jao
Barha kathin hai yeh hijar ka mausam
Judai bol parhi hai kahin se aa jao
Zamana jise samjhta hai motiyon ki chamak
Woh aansuon ki larhi hai kahin se aa jao

Waf ko aajmana chahiye tha............

Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha
Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha
Jaha par panhuchna main chahta hoon waha pe panhuch jana chahiye tha
Humara zakhm purana bahut hai charagar bhi purana chahiye tha
Mujhse pahle wo kisi aur ki thi magar kuch shayrana chahiye tha
Chalo mana ye choti baat hai par tumhe sab kuch batana chahiye tha
Tera bhi shaher me koi nahi tha mujhe bhi ek thikana chahiye tha
Ke kis ko kis tarah se bhoolte hain tumhe mujhko sikhana chahiye tha
Aisa lagta hai lahoo mein humko kalam ko bhi dubana chahiye tha
Ab mere saath rah ke tanz na kar tujhe jana tha jana chahiye tha
Kya bus maine hi ki hai bewafaai jo bhi sach hai batana chahiye tha
Meri barbadi pe wo chahta hai mujhe bhi muskurana chahiye tha
Bas ek tu hi mere saath mein hai tujhe bhi rooth jana chahiye tha
Humare paas jo ye fan hai miya hume is se kamana chahiye tha
Ab ye taaj kis kaam ka hai hume sar ko bachana chahiye tha
Usi ko yaad rakha umar bhar ke jisko bhool jana chahiye tha
Mujhse baat bhi karni thi usko gale se bhi lagana chahiye tha
usne pyaar se bulaya tha hume mar ke bhi aana chahiye tha
Tumhe 'satlaj' use pane ke khatir kabhi khud ko gawana chahiye tha!!

Monday, May 17, 2010

Kangan

Kash main tere haseen hath ka kangan hota
tu bade pyaar se bade chaaw se,
bade maan ke sathapni naazuk si kalaayi me chadhaati mujhko
aur be'taabi se fursat ke khizaa'n lamho me
tu kisi soch me doobi jo ghumaati mujhko
man tere hath ki khushbu se mehak sa jaata
jab kabhi mood me aakar, mujhe chooma karti
tere hontho'n ki main hiddat se dahak sa jaata
raat ko jab bhi neendo'n ke safar par jaatimar
maree'n hath ka ek takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kai baatein karta
teri zulfo'n ko tere gaal ko chooma karta
jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti "Jaana'n"!
apni ankhon ko tere husn se khair'ah karta
mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan me mahakta rehta
main tere jism ke aangan me khanakta rehta
kuch nahin to yahi be-naam sa bandhan hota.....
"Kash main tere haseen haath ka kangan hota"

Tu bata de........

Pyaar par bas to nahi hai mera phir bhi
Tu bata de ke tujhe Pyaar karun Ya na karun
Tune khud apne Tabassum se jagaya hai
inheIn hamnavaon ka izhaar karun ya na karu
Tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
Meri raatein teri khushboo se basi rehti hain
Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki kasam
Teri palkein meri aankhon per jhuki rehti
Tere Hathon ki hararat teri saanson ki mehak
Tairti rehti hai ehsaas ki tanhai meinDhoondti rehti hai meri baahein tujhkoSard raaton ki sulagti hui tanhai mein.....

Gum Jamane ke........

Hazaro gum zamane ke, dara mujhko nahi sakte
bahot mazboot hun main bhi, rula mujhko nahi sakte
Tumhare dil mein jo kuch hai, kaho mujhse mere dilbar
Sabhi se dard kehte ho, bata mujhko nahi sakte